Friday, 11 December 2015

apni pahchan,,,,????



shukria,,,,markaze tasawwuf ki taraf se aaj ki sufism ki taleem..... apne ko pahchan na hoga,,,,apne ko jaan na hoga,,,, sari duniya ko jane aur apne se anjane ,,,phir do kori ka hua ye ilm..... iski koi qeemat nahin hai,,,, main sari duniyan ko jaan loon aur mere andar andhera hi andhera ho,,,, is jaan ne ka kya hoga,,,, ? kya hua iska,, maqsad ,,, ? kya hue iske mayne ,,,,kya paya ? ye dhokha hai,,,,apne ko samjha lena hai,,ye ilm kisi kaam ka nahin hai,,,ke sabke bare me jaan loon aur jo andar baitha hai,,,,us se anjaan rahoon,,,,ye sab malumaat bekar ki tafreeh hai,,, apna waqt kharab karna hai,,,sari kitaben parh loon aur andar jo sari kitaben parhne wala baitha hai,,, usko na pahchan paun,,,usko na jaan paun,,,,, to kuch nahin kiya,,,,maan na hoga,,,,,kuch nahin paya,,,,maan na hoga,,,,,,,shukria,,,,shukria,,,,,

No comments:

Post a Comment